Husn Shayari Collection

Advertisement

उसके हुस्न से मिली है मेरे इश्क को ये शौहरत,
मुझे जानता ही कौन था तेरी आशिक़ी से पहले।
Uske Husn Se Mili Hai Mere Ishq Ko Ye Shohrat,
Mujhe Janta Hi Kaun Tha Teri Aashiqi Se Pehle.

Best Husn Shayari in Hindi

कसा हुआ तीर हुस्न का, ज़रा संभल के रहियेगा,
नजर नजर को मारेगी, तो क़ातिल हमें ना कहियेगा।
Kasaa Hai Teer Husn Ka Zara Sambhal Ke Rahiyega,
Najar Najar Ko Maregi To Qatil Humein Na Kahiyega.

इश्क का जौके-नज़ारा मुफ्त को बदनाम है,
हुस्न खुद ही बेताब है जलवा दिखाने के लिए।
Ishq Ka Zauk-e-Nazara Muft Ko BadNaam Hai,
Husn Khud Betaab Hai Jalwa Dikhane Ke Liye.

Advertisement

अदा परियों की, सूरत हूर की, आंखें गिजालों की,
गरज माँगे कि हर इक चीज हैं इन हुस्न वालों की।
Adaa Pariyon Ki Surat Hur Ki Aankein Gizalon Ki,
Garaz Maange Ki Har Ek Cheej Inn Husn Walon Ki.

हुस्न की ये इन्तेहाँ नहीं है तो और क्या है,
चाँद को देखा है हथेली पे आफताब लिए हुए।
Husn Ki Ye Intehaan Nahin Hai To Aur Kya Hai,
Chaand Ko Dekha Hai Hatheli Pe Aaftaab Liye Huye.

Hindi Husn Shayari for Beautiful Girls

फ़क़त इस शौक़ में पूछी हैं हज़ारों बातें,
मैं तेरा हुस्न तेरे हुस्न-ए-बयाँ तक देखूँ।
Faqat Iss Shauq Mein Poochhi Hain Hajaron Baatein,
Main Tera Husn Tere Husn-e-Bayan Tak Dekhun.

हुस्न वालों को संवरने की जरूरत ही क्या है,
वो तो सादगी में भी क़यामत की अदा रखते हैं।
Husn Walo Ko Sanwarne Ki Jarurat Hi Kya Hai,
Wo To Saadgi Mein Bhi Qayamat Ki Adaa Rakhte Hain.

Advertisement

Ye Tabassum, Ye Naaz

Tujhe Aayine Mein Utaar Lu

Advertisement

Read more Beauty Shayari in Hindi