Deedar Shayari Collection
क्या हुस्न था कि आँख से देखा हजार बार,
फिर भी नजर को हसरत-ए-दीदार रह गयी।
Kya Husn Tha Ke Aankh Se Dekha Hajaar Baar,
Fir Bhi Najar Ko Hasrat-e-Deedaar Reh Gayi.
तलब उठती है बार-बार तेरे दीदार की,
ना जाने देखते-देखते कब तुम लत बन गये।
Talab Uthti Hai Baar-Baar Tere Deedar Ki,
Na Jaane Dekhte-Dekhte Kab Tum Lat Ban Gaye.
चमन में इस कदर तू आम कर दे अपने जलवों को,
कि आँखें जिस तरफ उठें तेरा दीदार हो जाये।
Chaman Mein Is Kadar Tu Aam Kar De Apne Jalwon Ko,
Ki Aankhein Jis Taraf Uthhein Tera Deedar Ho Jaaye.
तेरे दीदार पर अगर मेरा इख्तियार होता,
ये रोज-रोज होता और बार बार होता।
Tere Deedar Pe Agar Mera Ikhtiyar Hota,
Yeh Roj Roj Hota Aur Baar Baar Hota.
एतबार कर दीदार में एहतियात नहीं होता,
ये बेहिसाब जज़्बा है इसमें हिसाब नहीं होता।
Aitbaar Kar Deedar Mein Ehtiyaat Nahi Hota,
Ye BeHisaab Jazba Hai Isme Hisaab Nahi Hota.