Hindi Sad Shayari, Yaar Ke Kisse
बहुत फरसोदा लगते हैं मुझे अब यार के किस्से,
गुल-ओ-गुलजार की बातें लब-ओ-रुखसार के किस्से।
Bahut Farsoda Lagte Hain Mujhe Ab Yaar Ke Kisse,
Gul-o-Guljar Ki Baatein Lab-o-Rukhsar Ke Kisse.
यहाँ सबके मुकद्दर में फकत जख्म-ए-जुदाई है,
सब ही झूठे फसाने हैं विसाल-ए-यार के किस्से।
Yahan SabKe Muqaddar Mein Faqat Zakhm-e-Judaai Hai,
Sab Hi Jhoote Fasaane Hain Wisaal-e-Yaar Ke Kisse.
भला इश्क-ओ-मोहब्बत से किसी का पेट भरता है,
सुनो तुम को सुनाता हूँ मैं कारोबार के किस्से।
Bhala Ishq-o-Mohabbat Se Kisi Ka Pet Bharta Hai,
Suno Tum Ko Sunaata Hoon Main KaaroBaar Ke Kisse.
मेरे एहबाब कहते हैं यही एक ऐब है मुझसे,
सर-ए-दीवार लिखता हूँ पस-ए-दीवार से किस्से।
Mere Ehbaab Kehte Hain Yehi Ek Aib Hai Mujh Mein,
Sar-e-Deewaar Likhta Hoon Pas-e-Dewaar Se Kisse.
मैं अक्सर इसलिए लोगों से जा के खुद नहीं मिलता,
वही बेकार की बातें, वही बेकार के किस्से।
Main Aksar Isliye Logo Se Jaa Ke Khud Nahi Milta,
Wahi Bekaar Ki Baatein, Wahi Bekaar Ke Kisse.