Wo Shakhs Gujarta Nahi
अब तो इस राह से वो शख़्स गुजरता भी नहीं,
अब किस उम्मीद पे दरवाज़े से झाँके कोई।
Ab To Iss Raah Se Wo Shakhs Gujarta Bhi Nahi,
Ab Kis Ummid Pe Darwaaze Se Jhanke Koi.
वक़्त के साथ बदलना तो बहुत आसान था,
मुझसे हर लम्हा मुखातिब रही ग़ैरत मेरी।
Waqt Ke Saath Badlna To Bahut Aasaan Tha,
Mujhse Har Lamha Mukhatib Rahi Ghairat Meri.
मेरी बहार-ओ-खिज़ां जिसके इख्तियार में थी,
मिजाज़ उस दिल-ए-बेइख्तियार का न मिला।
Meri Bahar-o-Khizan Jiske Ikhtiyar Mein Thi,
Mijaaz Uss Dil-e-BeIkhtiyar Ka Na Mila.
मैं उसका हूँ ये तो मैं जान गया हूँ लेकिन,
वो किसका है ये सवाल मुझे सोने नहीं देता।
Main Uska Hun Ye To Main Jaan Gaya Hun Lekin,
Wo Kiska Hai Ye Sawaal Mujhe Sone Nahi Deta.