Usko Kismat Mein Likha Hota
उस की हसरत को मेरे दिल में लिखने वाले,
काश उसको मेरी किस्मत में भी लिखा होता।
Uss Ki Hasrat Ko Mere Dil Mein Likhne Wale,
Kaash Usko Meri Kismat Mein Bhi Likha Hota.
चेहरों में दूसरों के उसे ढूंढ़ते रहे,
कहीं सूरत नहीं मिली कहीं सीरत नहीं मिली।
Cheharon Mein Doosron Ke Usey Dhoondhte Rahe,
Kahin Soorat Nahi Mili Kahin Seerat Nahin Mili.
उंगलियाँ थक गई पत्थर तराशते-तराशते,
जब सूरत बनी यार की तो खरीदार आ गए।
Ungliyan Thak Gayi Patthar Tarashte Tarashte,
Jab Surat Bani Yaar Ki To Kharidaar Aa Gaye.
खुद को लिखते हुए हर बार लिखा है तुमको,
इससे ज्यादा कोई जिंदगी को क्या लिखता?
Khud Ko Likhte Huye Har Baar Likha Hai Tumko,
Iss Se Jyada Koyi Zindagi Ko Kya Likhta?