Sad Shayari Sheeshe Ka Muqaddar
ज़माना खड़ा है हाथों में पत्थर लेकर,
कहाँ तक भागूं शीशे का मुक़द्दर लेकर।
Zamana Khada Hai Haatho Mein Patthar Lekar,
Kahan Tak Bhaagu Sheeshe Ka Muqaddar Lekar.
मैं शिकवा करूँ भी तो किस से करूँ,
अपना ही मुक़द्दर है अपनी ही लकीरें हैं।
Main Shiqwa Karoon Bhi To Kis Se Karoon,
Apna Hi Muqaddar Hai Apni Hi Lakeerein Hain.
न कोई फसाना छेड़ा न कोई बात हुई,
कहने को कह लीजिये कि मुलाकात हुई।
Na Koi Fasaana Chheda Na Koi Baat Huyi,
Kehne Ko Keh Leejiye Ki Mulakaat Huyi.
सच बोलकर भी देख लिया उनके सामने,
लेकिन उन्हें पसंद सदाक़त न थी मेरी।
Sach Bol Kar Bhi Dekh Liya Unke Saamne,
Lekin Unhein Pasand Sadaqat Na Thi Meri.