Dil Ke Zakhmo Ko Chhua Hai
अब इस से ज्यादा और क्या नरमी बरतूं,
दिल के ज़ख्मों को छुया है तेरे गालों की तरह।
Ab Iss Se Jyada Aur Kya Narmi Bartoon,
Dil Ke Zakhmo Ko Chhua Hai Tere Gaalon Ki Tarah.
मुझे मेरे कल की फ़िक्र आज भी नहीं मगर,
ख्वाहिश उसको पाने की कयामत तक रहेगी।
Mujhe Mere Kal Ki Fikr Aaj Bhi Nahi Magar,
Khwahish Usko Paane Ki Qayamat Tak Rahegi.
इश्क़ के सब इल्ज़ाम हमीं पे ही आते जाते हैं,
कोई उससे कहो वो भी तो कोई गुनाह करे।
Ishq Ke Sab ilzaam Humin Pe Hi Aate Jate Hain
Koi Uss Se Kaho Wo Bhi To Koi Gunaah Kare.
ग़ैर-मुमकिन है तेरे घर के गुलाबों का शुमार,
मेरे रिसते हुए ज़ख़्मों के हिसाबों की तरह।
Ghair-Mumkin Hai Tere Ghar Ke Gulabon Ka Shumar,
Mere Risate Huye Zakhmo Ke Hisaabon Ki Tarah.
सिर्फ एक मोहब्बत की रौशनी ही बाकी है,
वरना जिस तरफ देखो दूर तक अँधेरा है।
Sirf Ek Mohabbat Ki Roshni Hi Baaki Hai,
Varna Jis Taraf Dekho Door Tak Andhera Hai.