Ye Intezaar Na Thhehra Shayari
ये इंतज़ार न ठहरा कोई बला ठहरी,
किसी की जान गई आपकी अदा ठहरी।
Ye Intezaar Na Thhehra Koi Bala Thhehri,
Kisi Ki Jaan Gayi Aapki Adaa Thhehri.
कब आ रहे हो मुलाकात के लिये,
हमने चाँद रोका है एक रात के लिये।
Kab Aa Rahe Ho Mulakat Ke Liye,
Humne Chaand Roka Hai Ek Raat Ke Liye.
ये इंतज़ार सहर का था या तुम्हारा था,
दिया जलाया भी मैंने दिया बुझाया भी।
Ye Intezaar Sahar Ka Tha Ya Tumhara Tha,
Diya Jalaya Bhi Maine Diya Bujhaya Bhi.
वस्ल का दिन और इतना मुख्तसर,
दिन गिने जाते थे इस दिन के लिए।
Vasl Ka Din Aur Itna Mukhtsar,
Din Gine Jate The Iss Din Ke Liye.
ये आँखे कुछ तलाशती रहती हैं,
कोई तो है जिसका इन्हें इंतजार है।
Ye Aankhein Kuchh Talaashti Rehti Hain,
Koi To Hai Jis Ka Inhein Intezaar Hai.