Intezaar Shayari, Dekhe Huye Kisi Ko
फरियाद कर रही है यह तरसी हुई निगाह,
देखे हुए किसी को ज़माना गुजर गया।
Fariyad Kar Rahi Hai Ye Tarsi Huyi Nigaah,
Dekhe Huye Kisi Ko Zamana Gujar Gaya.
ये कह-कह के हम दिल को समझा रहे हैं,
वो अब चल चुके हैं वो अब आ रहे हैं।
Ye Keh-Keh Ke Hum Dil Ko Samjha Rahe Hain,
Wo Ab Chal Chuke Hai Wo Ab Aa Rahe Hain.
उम्र-ए-दराज माँग कर लाये थे चार दिन,
दो आरज़ू में कट गए दो इंतज़ार में।
Umr-e-Daraaz Maang Ke Laaye The Chaar Din,
Do Aarzoo Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein.
मुद्दत हुई पलक से पलक आशना नहीं,
क्या इससे अब ज्यादा करे इंतज़ार चश्म।
Muddat Hui Palak Se Palak Aashna Nahi,
Kya Iss Se Ab Jyada Kare Intezaar Chashm.
अब इन हदों में लाया है इंतज़ार मुझे,
वो आ भी जायें तो आये न ऐतबार मुझे।
Ab Inn Haddon Mein Laya Hai Intezaar Mujhe,
Wo Aa Bhi Jayein To Aaye Na Aitabar Mujhe.
मुद्दत से ख्वाब में भी नहीं नींद का ख्याल,
हैरत में हूँ ये किसका मुझे इंतज़ार है।
Muddat Se Khwab Mein Bhi Nahi Neend Ka Khyaal,
Hairat Mein Hun Ye Mujhe Kiska Intezaar Hai.