Gam Shayari, Wo Tera Gham Tha

Advertisement

वो तेरा ग़म था कि तासीर मेरे लहजे की,
कि जिसको हाल सुनाते थे रुला देते थे।
Wo Tera Gham Tha Ki Taaseer Mere Lahje Ki,
Ki Jisko Haal Sunate The Rula Dete The.

शायरों की बस्ती में कदम रखा तो जाना,
ग़मों की महफिल भी कमाल जमती है।
Shayaron Ki Basti Mein Kadam Rakha To Jana,
Ghamon Ki Mehfil Bhi Kamaal Jamti Hai.

मुस्कुराने की अब वजह याद नहीं रहती,
पाला है बड़े नाज़ से मेरे ग़मों ने मुझे।
Muskurane Ki Ab Wajah Yaad Nahi Rehti,
Paala Hai Bade Naaz Se Mere Ghamon Ne Mujhe.

पी लिया ग़म भी हमने शराब सोचकर,
भूल गए उन्हें अब एक ख्वाब सोचकर।
Pee Liya Gham Bhi Humne Sharab Soch Kar,
Bhool Gaye Unhein Ab Ek Khwab Soch Kar.

Advertisement

घुटन सी होने लगी है इश्क़ जताते हुए,
मैं खुद से रूठ गया हूँ तुम्हें मनाते हुए।
Ghutan Si Hone Lagi Hai Ishq Jataate Hue,
Main Khud Se Roothh Gaya Hoon Tumhein Manaate Hue.

हँसते हुए होठों ने भरम रखा हमारा,
वो देखने आया था किस हाल में हम हैं।
Hanste Huye Honthhon Ne Bharam Rakha Humara,
Wo Dekhne Aaya Tha Kis Haal Mein Hum Hain.

दुनिया ने ग़म हजार दिए लेकिन ऐ दोस्त,
मैंने हर एक ग़म को हँसी में उड़ा दिया।
Duniya Ne Gham Hajaar Diye Lekin Ai Dost,
Maine Har Ek Gham Ko Hansi Mein Uda Diya.

कभी जो मैंने मसर्रत का एहतराम किया,
बड़े तपाक से ग़म ने मुझे सलाम किया।
Kabhi Jo Maine Masarrat Ka Ehetraam Kiya,
Bade Tapaak Se Gham Ne Mujhe Salaam Kiya.

Advertisement

Thoda Gham Hai Sabka Kissa

Gam Ki Shayari, Aise To Gham Nahi Mile

Advertisement

Read more Gham Shayari in Hindi