Thoda Gham Hai Sabka Kissa
ये जो गहरे सन्नाटे हैं वक्त ने सबको ही बाँटें हैं,
थोड़ा ग़म है सबका किस्सा थोड़ी धूप है सबका हिस्सा।
Ye Jo Gehre Sannate Hain Waqt Ne Sabko Baante Hain,
Thoda Gham Hai Sabka Kissa Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa.
जश्न-ए-शब में मेरी कभी जल न सका इश्क़ का दिया,
वो अपनी अना में रही और मैंने अपने ग़मों को ज़िया।
Jashn-e-Shab Mein Meri Kabhi Jal Na Saka Ishq Ka Diya,
Wo Apni Anaa Mein Rehi Aur Maine Apne Ghamon Ko Jiya.
उम्मीद थी कि इस ग़म का मदावा हो ही जाएगा,
मगर अफसोस कि पहली मोहब्बत आखिरी निकली।
Ummeed Thi Ki Iss Gham Ka Madawa Ho Hi Jayega,
Magar Afsos Ki Pehli Mohabbat Aakhiri Nikli.
तुम्हें गैरों से कब फुर्सत हम अपने ग़म से कब खाली,
चलो बस हो चुका मिलना न तुम खाली न हम खाली।
Tumhein Gairon Se Kab Fursat Hum Apne Gham Se Kab Khaali,
Chalo Bas Ho Chuka Milna Na Tum Khaali Na Hum Khaali.