Wohi Gham Hai Jidhar Jayein

Advertisement

तेरी दुनिया में जीने से तो बेहतर हैं कि मर जायें,
वही आँसू, वही आहें, वही ग़म है जिधर जायें,
कोई तो ऐसा घर होता जहाँ से प्यार मिल जाता,
वही बेगाने चेहरे हैं कहाँ जायें किधर जायें।
Teri Duniya Mein Jeene Se To Behtar Hai Ki Mar Jayein,
Wohi Aansoo, Wohi Aahein, Wohi Gham Hai Jidhar Jayein,
Koi To Aisa Ghar Hota Jahan Se Pyar Mil Jata,
Wahi Begaane Chehare Hain Kahan Jayein Kidhar Jayein.

Advertisement

तुम्हारे चाँद से चेहरे पे ग़म अच्छे नहीं लगते,
हमें कह दो चले जाओ जो हम अच्छे नहीं लगते,
हमें वो ज़ख्म दो जाना जो सारी उम्र ना भर पायें,
जो जल्दी भर के मिट जाएं वो ज़ख्म अच्छे नहीं लगते।
Tumhare Chaand Se Chehre Par Gham Achchhe Nahi Lagte,
Humein Keh Do Chale Jaao Jo Hum Achhe Nahi Lagte,
Humein Wo Zakhm Do Jana Jo Saari Umr Na Bhar Paayein,
Jo Jaldi Bhar Ke Mit Jayein Wo Zakhm Achchhe Nahi Lagte.

कुछ लुटकर कुछ लुटाकर लौट आया हूँ,
वफ़ा की उम्मीद में धोखा खाकर लौट आया हूँ,
अब तुम याद भी आओगे फिर भी न पाओगे,
हँसते लबों से ग़म छुपाकर लौट आया हूँ।
Kuchh LutKar Kuchh LutaKar Laut Aaya Hoon,
Wafa Ki Umeed Mein Dhokha Khakar Laut Aaya Hoon,
Ab Tum Yaad Bhi Aaoge Fir Bhi Na Paaoge,
Hanste Labon Se Gham ChhupaKar Laut Aaya Hoon.

Advertisement

Wo Ghamon Se Choor Niklega

Gam Shayari, Gham Ka Fasaana Hai

Advertisement

Read more Gham Shayari in Hindi