Gham Ki Andheri Raat Mein

Advertisement

एक किरन भी तो नहीं ग़म की अंधेरी रात में,
कोई जुगनू कोई तारा कोई आँसू कुछ तो होता।
Ek Kiran Bhi To Nahi Gham Ki Andheri Raat Mein,
Koi Jugnoo Koi Taara Koi Aansoo Kuchh To Hota.

तुम्हें पा लेते तो किस्सा ग़म का खत्म हो जाता,
तुम्हें खोया है तो यकीनन कहानी लम्बी चलेगी।
Tumhein Paa Lete To Kissa Gham Ka Khatm Ho Jata,
Tumhein Khoya Hai To Yakeenan Kahani Lambi Chalegi.

Advertisement

अगर रातों में जागने से होती ग़मों में कमी,
मेरे दामन में खुशियों के सिवा कुछ नहीं होता।
Aagar Raaton Mein Jaagne Se Hoti Ghamon Mein Kami,
Mere Daaman Mein Khushiyon Ke Siwa Kuchh Nahi Hota.

कहाँ तक आँख रोएगी कहाँ तक उसका ग़म होगा,
मेरे जैसा यहाँ कोई न कोई रोज़ कम होगा।
Kahan Tak Aankh Royegi Kahan Tak Uska Gham Hoga,
Mere Jaisa Yahan Koi Na Koi Roj Kam Hoga.

क्या जाने किसको किससे है अब दाद की तलब,
वो ग़म जो मेरे दिल में है तेरी नज़र में है।
Kya Jane Kisko Kis Se Hai Ab Daad Ki Talab,
Wo Gham Jo Mere Dil Mein Hai Teri Najar Mein Hai.

Advertisement

Tera Gham Salamat Hai, Gam Shayari

Hindi Gam Shayari, Ai Shab-e-Gham

Advertisement

Read more Gham Shayari in Hindi