Kitne Gham Chipaaye Humne
हर सितम सह कर कितने गम छुपाये हमने,
तेरी खातिर हर दिन आंसू बहाये हमने,
तू छोड़ गया जहां हमें राहों में अकेला,
बस तेरे दिए जख्म हर एक से छुपाये हमने।
Har Sitam Seh Kar Kitne Gham Chipaaye Humne,
Teri Khatir Har Din Aansoo Bahaaye Humne,
Tu Chhod Gaya Jahan Humein Raahon Mein Akela,
Bas Tere Diye Zakhm Har Ek Se Chipnaye Humne.
ग़म इसका नहीं कि तू मेरा न हो सका,
मेरी मोहब्बत में मेरा सहारा न बन सका,
ग़म इसका नहीं कि सुकून दिल का लुट गया,
ग़म तो इसका है कि वफा से भरोसा उठ गया।
Gham Iska Nahin Ki Tu Mera Na Ho Saka,
Meri Mohabbat Mein Mera Sahara Na Ban Saka,
Gham Iska Nahi Ki Sukoon Dil Ka Lut Gaya,
Gham To Iska Hai Ki Wafa Se Bharosa Uthh Gaya.
हमें गम रहा जब तक दम में दम रहा,
दिल के जाने और टूट जाने का गम रहा,
लिखी थी जिस कागज पर हकीकत हमारी,
एक मुद्दत तक वो कागज भी नम रहा।
Humein Gam Raha Jab Tak Dum Mein Dum Raha,
Dil Ke Jaane Aur Toot Jaane Ka Gham Raha,
Likhi Thi Jis Kagaz Par Hakeekat Humari,
Ek Muddat Tak Wo Kagaz Bhi Nam Raha.