Gham Shayari, Ghamon Ne Sahara Diya

Advertisement

जब भी ठोकर लगी तेरे प्यार में मुझे,
मुझको मेरे ग़मों ने सहारा बहुत दिया।
Jab Bhi Thokar Lagi Tere Pyar Mein Mujhe,
MujhKo Mere Ghamon Ne Sahara Bahut Diya.

निकल आते हैं आँसू हँसते-हँसते,
ये किस ग़म की कसक है हर खुशी में।
Nikal Aate Hain Aansoo Hanste-Hanste,
Yeh Kis Gham Ki Kasak Hai Har Khushi Mein.

Advertisement

उसे खोने का ग़म तो बहुत है लेकिन,
हम उसे पाने के असबाब कहाँ से लाते।
Usey Khone Ka Gham To Bahut Hai Lekin,
Hum Usey Paane Ke Asbab Kahan Se Laate .

उम्र गुजार दी हमने ग़मों के कारोबार में,
खुदा जाने सुकून बिकता कहा है?
Umr Gujaar Di Humne Ghamo Ke Karobar Mein,
Khuda Jaane Ye Sukoon Bikta Kahan Hai.

यह ग़म के दिन भी गुजर जायेंगे यूं ही,
जैसे वह राहतों के ज़माने गुजर गए।
Ye Gham Ke Din Bhi Gujar Jayenge Yoon Hi,
Jaise Wo Raahton Ke Zamane Gujar Gaye.

Advertisement

Barbadi Ke Afsane Kahan Jaate

Himmat Hai Gham Uthhane Ki?

Advertisement

Read more Gham Shayari in Hindi