Zakhm Aur Barhta Gaya
Jhoothhi Hansi Se Zakhm Aur Barhta Gaya,
Iss Se Behtar Tha KhulKar Ro Liye Hote.
झूठी हँसी से जख्म और बढ़ता गया,
इससे बेहतर था खुलकर रो लिए होते।
Manzilon Se Begana Aaj Bhi Safar Mera,
Hai Raat Besahar Meri Dard BeAsar Mera.
मंजिलों से बेगाना आज भी सफ़र मेरा,
है रात बेसहर मेरी दर्द बेअसर मेरा।
Andaza Laga Lete Hain Sab Dard Ka Mere,
Hanste Huye Chehre Ka Nuksaan Yahi Hai.
अंदाजा लगा लेते हैं सब दर्द का मेरे,
हँसते हुए चेहरे का नुकसान यही है।
Mere To Dard Bhi Auron Ke Kaam Aate Hain,
Mein Ro Padoo To Kayi Log Muskurate Hain.
मेरे तो दर्द भी औरों के काम आते हैं,
मैं रो पडूँ तो कई लोग मुस्कराते है।