Dard Mein Shiddat Na Rahi

Advertisement

वो सिलसिले वो शौक वो ग़ुरबत न रही,
फिर यूँ हुआ के दर्द में शिद्दत न रही,
अपनी ज़िन्दगी में हो गए मसरूफ वो इतना,
कि हम को याद करने की फुर्सत न रही।
Wo Silsile Wo Shauq Wo Gurbat Na Rahi,
Fir Yoon Hua Ke Dard Mein Shiddat Na Rahi,
Apni Zindagi Mein Ho Gaye Masroof Wo Itna,
Ki Hum Ko Yaad Karne Ki Fursat Na Rahi.

Advertisement

आखिर क्यूँ बनाया मुझे ऐ बनाने वाले,
बहुत दर्द देते हैं ये ज़माने वाले,
मैंने आग के उजाले में कुछ चेहरे देखे,
मेरे अपने ही थे मेरा घर जलाने वाले।
Aakhir Kyun Banaya Mujhe Aye Banane Wale,
Bahut Dard Dete Hai Ye Zamane Wale,
Maine Aag Ke Ujale Mein Kuchh Chehre Dekhe,
Mere Apne Hi The Mera Ghar Ko Jalane Wale.

उसने मुझसे ना जाने क्यों ये दूरी कर ली,
बिछड़ के उसने मोहब्बत ही अधूरी कर दी,
मेरे मुकद्दर में दर्द आया तो क्या हुआ,
खुदा ने उसकी ख्वाहिश तो पूरी कर दी।
Usne Mujhse Na Jane Kyun Ye Doorie Kar Li,
Bichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhoori Kar Di,
Mere Mukaddar Mein Dard Aaya To Kya Hua,
Khuda Ne Uski Khwahish To Poori Kar Dai.

Advertisement

Dard Shayari, Shayad Wo Dard Jaane

Dard Shayari, Barbaad Pyar Se

Advertisement

Read more Dard Shayari in Hindi