Kahin Par Dard Hota Hai
समझ में कुछ नहीं आता
मोहब्बत किस को कहते हैं,
मगर इतना समझता हूँ,
कि कहीं पर दर्द उठता है।
Samajh Mein Kuchh Nahi Aata,
Mohabbat Kis Ko Kehte Hain,
Magar Itna Samajhta Hoon,
Ke Kahin Par Dard UthTa Hai.
अब बस भी कर ज़ालिम
कुछ तो रहम खा मुझ पर,
चली जा मेरी नज़रों से दूर
कहीं मैं शायर ना बन जाऊं।
Ab Bas Bhi Kar Zalim
Kuchh To Raham Kha Mujh Par,
Chali Ja Meri Najron Se Door
Kahin Main Shayar Na Ban Jaaun.
कहने वालों का कुछ नहीं जाता
सहने वाले कमाल करते हैं,
कौन ढूढ़े जवाब दर्दों के
लोग तो बस सवाल करते हैं।
Kehne Walo Ka Kuchh Nahi Jata
Sehne Wale Kamaal Karte Hain,
Kaun Dhhoondhe Jawab Dardo Ke
Log To Bas Sawal Karte Hain.
क्यों हिज्र के शिकवे करता है
क्यों दर्द के रोने रोता है,
अब इश्क़ किया तो सब्र भी कर
इस में तो यही कुछ होता है।
Kyun Hijr Ke Shikwe Karta Hai
Kyun Dard Ke Rone Rota Hai,
Ab Ishq Kiya To Sabr Bhi Kar
Isme To Yehi Sab Hota Hai.