Tujh Mein Roj Nayi Baat
रोज इक ताज़ा शेर कहाँ तक लिखूं तेरे लिए,
तुझमें तो रोज ही एक नई बात हुआ करती है।
Roj Ek Taaza Sher Kahan Tak Likhun Tere Liye,
Tujh Mein To Roj Hi Ek Nayi Baat Hua Karti Hai.
होश-ए-हवास पे काबू तो कर लिया मैंने,
उन्हें देख के फिर होश खो गए तो क्या होगा।
Hosh-o-Hawaas Pe Kaaboo To Kar Liya Maine,
Unhein Dekh Ke Fir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga.
साहिबे-अक्ल हैं आप तो एक मसला हल कीजिये,
रुख-ए-यार नहीं देखा क्या मेरी ईद हो गयी।
Sahibe-Aqal Hain Aap To Ek Masla Hal Kijiye,
Rukh-e-Yaar Nahi Dekha Kya Meri Eid Ho Gayi.
आफ़त तो है वो नाज़ भी अंदाज़ भी लेकिन,
मरता हूँ मैं जिस पर वो अदा कुछ और है।
Aafat To Hai Wo Naaz Bhi Andaaj Bhi Lekin,
Marta Hoon Main Jis Par Wo Adaa Kuchh Aur Hai.