Paani Mein Kya Aag Lagaani Hai

Advertisement

क्यों चाँदनी रातों में दरिया पे नहाते हो,
सोये हुए पानी में क्या आग लगानी है?
Kyun Chaandni Raaton Mein Dariya Pe Nahate Ho,
Soye Huye Paani Mein Kya Aag Lagaani Hai?

इस डर से कभी गौर से देखा नहीं तुझको​,​
​​कहते हैं लग जाती है अपनों की नजर भी​।
Iss Darr Se Kabhi Ghaur Se Dekha Nahi Tujhko,
Kehte Hain Lag Jaati Hai Apnon Ki Najar Bhi.

Advertisement

शोख़ी से ठहरती नहीं क़ातिल की नजर आज,
ये बर्क़-ए-बला देखिए गिरती है किधर आज।
Shokhi Se Thhaherti Nahi Qatil Ki Najar Aaj,
Ye Barq-e-Bala Dekhiye Girti Hai Kidhar Aaj.

उसको सजने की संवरने की जरूरत ​ही नहीं​​,​
​उसपे सजती है हया भी किसी जेवर ​की तरह।
Usko Sajne Ki Sawarne Ki Jarurat Hi Nahi,
Uspe Sajti Hai Hayaa Bhi Kisi Jewar Ki Tarah.

नींद से क्या शिकवा जो आती नहीं रात भर,
कसूर तो उस चेहरे का है जो सोने नहीं देता।
Neend Se Kya Shiqwa Jo Aati Nahi Raat Bhar,
Kasoor To Unke Chehre Ka Hai Jo Sone Nahi Deta.

Advertisement

Zulf Shayari Collection

Chehra Wo Chaand Sa Dekhe

Advertisement

Read more Beauty Shayari in Hindi