Maine Intezaar Nahi Chhoda
खुद हैरान हूँ मैं
अपने सब्र का पैमाना देख कर,
तूने याद भी ना किया
और मैंने इंतज़ार नहीं छोड़ा।
Khud Hairan Hoon Main
Apne Sabr Ka Paimana Dekh Kar,
Tu Ne Yaad Bhi Na Kiya
Aur Maine Intezaar Nahi Chhoda.
तुम्हें तो इल्म है
मेरे दिल-ए-वहशी के ज़ख़्मों को,
तुम्हारा वस्ल मरहम है
कभी मिलने चले आओ।
Tumhein To ilm Hai
Mere Dil-e-Vahashi Ke Zakhmon Ka,
Tumhara Vasl Marham Hai
Kabhi Milne Chale Aao.
दिन रात की बेचैनी है
ये आठ पहर का रोना है,
आसार बुरे हैं फुरकत में
मालूम नहीं क्या होना है।
Din Raat Ki Bechaini Hai,
Ye Aathh Paher Ka Rona Hai,
Aasaar Bure Hain Furkat Mein
Maloon Nahi Kya Hona Hai.
उठा कर चूम ली हैं
चंद मुरझाई हुई कलियाँ,
तुम न आये तो यूँ
जश्न-ए-बहारां कर लिया मैंने।
Uthha Kar Choom Li Hain
Chand Murjhayi Huyi Kaliyan,
Tum Na Aaye To Yoon
Jashn-e-Bahaaran Kar Liya Maine.