Rang Tere Intezaar Ka
कुछ रोज़ ये भी रंग रहा तेरे इंतज़ार का,
आँख उठ गई जिधर बस उधर देखते रहे।
Kuchh Roj Yeh Bhi Rang Raha Tere Intezaar Ka,
Aankh Uthh Gayi Jidhar Bas Udhar Dekhte Rahe.
बिखरा पड़ा है तेरे ही घर में तेरा वजूद,
बेकार महफ़िलों में तुझे ढूँढता हूँ मैं।
Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood,
Bekaar Mehfilon Mein Tujhe Dhhoondta Hoon Mein.
न जाने कब का पहुँच भी चुका सर-ए-मंजिल,
वो शख्स जिसका हमें इंतज़ार राह में है।
Na Jane Kab Ka Pahuch Bhi Chuka Sar-e-Manzil,
Wo Shakhs Jiska Humein Intazaar Raah Mein Hai.