Zakhm Bhi Bhar Jayenge
तेरे मिलने का गुमान तेरे न मिलने की खलिश,
वक़्त गुज़रेगा तो ज़ख्म भी भर जायेंगे।
Tere Milne Ka Gumaan Tere Na Milne Ki Khalish,
Waqt Gujrega To Zakhm Bhi Bhar Jayenge.
उसी तरह से हर इक ज़ख़्म खुशनुमा देखे,
वो आये तो मुझे अब भी हरा-भरा देखे।
Usee Tarah Se Har Ek Zakhm KhushNuma Dekhe,
Wo Aaye To Mujhe Ab Bhi Hara Bhara Dekhe.
अच्छा हुआ जो हमको वक़्त पर ठोकर लगी,
छूने चले थे चाँद दरिया में देख कर।
Achha Hua Jo Humko Waqt Par Thhokar Lagi,
Chhoone Chale The Chaand Dariya Mein Dekh Kar.
भुला दिए थे जो वक्त के भंवर में हमने,
आज दिल के वो पुराने ज़ख्म तेज़ाब हो गए।
Bhula Diye The Jo Waqt Ke Bhanwar Mein Humne,
Aaj Dil Ke Wo Puraane Zakhm Tezaab Ho Gaye.