Najar Se Door Rehte Ho
तेरे वजूद की खुशबू बसी है मेरी साँसों में,
ये और बात है कि नजर से दूर रहते हो तुम।
Tere Wajood Ki Khushboo Basi Hai Meri Saanso Mein,
Ye Aur Baat Hai Ki Najar Se Door Rehte Ho Tum.
कितना अजीब है ये फलसफा ज़िन्दगी का,
दूरियाँ बताती हैं नजदीकियों की कीमत।
Kitna Ajeeb Hai Ye Falsafa Zindagi Ka,
Doorian Batati Hain Najdikiyon Ki Keemat.
वो हैं खफा हमसे या हम हैं खफा उनसे,
बस इसी कशमकश में दूरियाँ बढ़ गयीं।
Wo Hain Khafa Humse Ya Hum Hain Khafa Unse,
Bas Isee Kashmakash Mein Dooriyan Barh Gayin.
मुझको तेरे सलाम से शिकवा नहीं मगर,
चाहे बेरुखी के साथ हो बस दूर का न हो।
Mujhko Tere Salaam Se Shikwa Nahi Magar,
Chahe BeRukhi Ke Saath Ho Bas Door Ka Na Ho.