Shayari Dil Bhi Ajeeb Maykash Hai
दिल भी बड़ा अजीब मयकश है,
मिले न कुछ तो प्यास ही पी जाता है।
Dil Bhi Bada Ajeeb Maykash Hai,
Mile Na Kuchh To Pyaas Hi Pee Jata Hai.
उदासियों में भी रास्ते निकाल लेता है,
अजीब दिल है, गिरो तो संभाल देता है।
Udaasiyon Mein Bhi Raaste Nikaal Leta Hai,
Ajeeb Dil Hai, Giro To Sambhaal Leta Hai.
दिल के हाथों मजबूर हुये बैठे थे,
हाथों में तुम्हारी तस्वीर लिये बैठे थे।
Dil Ke Haathon Majboor Huye Baithe The,
Haathon Mein Tumhari Tasveer Liye Baithe The.
दिल था अकेला और ग़म से हजारों,
अकेले को मिलकर हज़ारों ने लूटा।
Dil Tha Akela Aur Gham The Hazaron,
Akele Ko Milkar Hazaaron Ne Lootaa.
उम्र कितनी मंजिलें तय कर चुकी,
दिल जहाँ ठहरा, ठहरा ही रह गया।
Umar Kitni Manzilein Tay Kar Chuki,
Dil Jahaan Thehra, Thehra Hi Reh Gaya.