Aakhiri Khat Tera Hurt Shayari

Advertisement

Tera Aakhiri Khat Hurt Shayari

हर्फ़-हर्फ़ इस कदर था तल्खियों से भरा,
आखिरी ख़त तेरा दीमक से भी खाया ना गया।
Harf-Harf Iss Kadar Tha Talkhiyon Se Bhara,
Aakhiri Khat Tera Deemak Se Bhi Khaya Na Gaya.

तहज़ीब में भी उसकी क्या ख़ूब अदा थी,
नमक भी अदा किया तो ज़ख्मों पर छिड़क कर।
Tahzeeb Mein Bhi Uski Kya Khoob Adaa Thi,
Namak Bhi Adaa Kiya To Zakhmo Pe Chhidak Kar.

Advertisement

उसने हमारे ज़ख्म का कुछ यूँ किया इलाज़,
मरहम भी गर लगाया तो काँटों की नोंक से।
Usne Humare Zakhm Ka Kuchh Yoon Kiya ilaaj,
Marham Bhi Gar Lagaya To Kaanto Ki Nonk Se.

उम्मीद ना कर इस दुनिया में हमदर्दी की,
बड़े प्यार से जख्म देते हैं शिद्दत से चाहने वाले।
Ummeed Na Kar Iss Duniya Mein HumDardi Ki,
Bade Pyar Se Zakhm Dete Hain Shiddat Se Chahne Wale.

Advertisement

Wo Zakhm Kabhi Fir

Zakhm Bhi Bhar Jayenge

Advertisement

Read more Hurt Shayari in Hindi