Tumne Mujhe Barbad Kar Diya
मुझको तो होश नहीं तुमको खबर हो शायद,
लोग कहते हैं कि तुमने मुझे बर्बाद कर दिया।
Mujhko To Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shayad,
Log Kehte Hain Ke Tumne Mujhe Barbad Kar Diya.
ऐसा तल्ख़ जवाबे-वफ़ा पहली ही दफा मिला,
हम इस के बाद फिर कोई अरमां न कर सके।
Aisa Talkh Jawab-e-Wafa Pehli Hi Dafa Mila,
Hum Iss Ke Baad Phir Koi Armaan Na Kar Sake.
बिछड़ के तुझसे न देखा गया किसी का मिलन,
उड़ा दिए हैं परिंदे भी शजर पे बैठे हुए।
Bichhad Ke Tujhse Na Dekha Gaya Kisi Ka Milan,
Uda Diye Hain Parinde Bhi Shajar Pe Baithe Hue.
टूटा तिलिस्मे-अहदे-मोहब्बत कुछ इस तरह
फिर आरज़ू की शमा फ़ुरेज़ाँ न कर सके।
Toota Tilisme-Ahede-Moahabbat Kuchh Iss tarah,
Fir Aarzoo Ki Shamma Furezaan Na Kar Sake.