Tumhari Aankh Mein Aansoo
अभी से क्यों छलक आये तुम्हारी आँख में आँसू,
अभी छेड़ी कहाँ है दास्तान-ए-ज़िन्दगी मैंने।
Abhi Se Kyun Chhalak Aaye Tumhari Aankh Mein Aansoo,
Abhi Chhedi Kahan Hai Daastaan-e-Zindagi Maine.
जिस तरह हँस रहा हूँ मैं पी पी के गर्म अश्क़.
यूँ कोई दूसरा हँसे तो कलेजा निकल पड़े।
Jis Tarah Hans Raha Hoon Main Pee Pee Ke Garm Ashq,
Yoon Koi Doosra Hanse To Kaleja Nikal Pade.
जब लफ्ज़ थक गए तो फिर आँखों ने बात की,
जो आँखें भी थक गईं तो अश्क़ों से बात हुई।
Jab Lafz Thak Gaye To Phir Aankhon Ne Baat Ki,
Jo Aankhein Bhi Thak Gayin To Ashqon Se Baat Hui.
शायद तू कभी प्यासा फिर मेरी तरफ लौट आये,
आँखों में लिए फिरता हूँ दरिया तेरी खातिर।
Shayad Tu Kabhi Pyasa Phir Meri Taraf Laut Aaye,
Aankhon Mein Liye Firta Hoon Dariya Teri Khatir.
टपक पड़ते हैं आँसू जब तुम्हारी याद आती है,
ये वो बरसात है जिसका कोई मौसम नहीं होता।
Tapak Padte Hain Aansoo Jab Tumhari Yaad Aati Hai,
Ye Wo Barsaat Hai Jis Ka Koi Mausam Nahi Hota.
कौन कहता है कि आँसुओं में वज़न नहीं होता,
एक भी छलक जाए तो मन हल्का हो जाता है।
Kaun Kehta Hai Ke Aashuon Mein Wajan Hai Hota,
Ek Bhi Chhalak Jaye To Man Halka Ho Jata Hai.