Tears Shayari, Do Chaar Aansoo Palkon Pe

Advertisement

दो चार आँसू ही आते हैं पलकों के किनारे पे,
वर्ना आँखों का समंदर गहरा बहुत है।
Do Chaar Aansoo Hi Aate Hain Palkon Ke Kinare Pe,
Varna Aankhon Ka Samandar Gehra Bahut Hain.

वो अश्क़ बन के मेरी चश्म-ए-तर में रहता है,
अजीब शख़्स है पानी के घर में रहता है।
Wo Ashq Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai.
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rehta Hai.

Advertisement

अश्क़ ही मेरे दिन हैं अश्क़ ही मेरी रातें,
अश्क़ों में ही घुली हैं वो बीती हुयी बातें।
Ashq Hi Mere Din Hain Ashq Hi Meri Raatein,
Ashqon Mein Hi Ghuli Hain Wo Beeti Huyi Baatein.

किसी को बताने से मेरे अश्क़ रुक न पायेंगे,
मिट जायेगी ज़िन्दगी मगर ग़म धुल न पायेंगे।
Kisi Ko Bataane Se Mere Ashq Ruk Na Payenge,
Mit Jayegi Zindagi Magar Gham Dhul Na Payenge.

क्या कहूँ दीदा-ए-तर ये तो मेरा चेहरा है,
संग कट जाते हैं बारिश की जहाँ धार गिरे।
Kya Kahoon Deeda-e-Tar Ye To Mera Chehra Hai,
Sang Kat Jaate Hain Barish Ki Jahan Dhaar Gire.

Advertisement

Shayari Aansoo Bhi Meri Aankh Ke

Aansoo Bhi Chhupane Honge

Advertisement

Read more Tears Shayari in Hindi