Na Jaane Kaun Sa Aansoo
न जाने कौन सा आँसू मेरा राज़ खोल दे,
हम इस ख़्याल से नजरें झुकाए बैठे हैं।
Na Jaane Kaun Sa Aansoo Mera Raaz Khol De,
Hum Is Khayal Se Najrein Jhukaye Baithhe Hain.
फिर आज आँसुओं में नहाई हुई है रात,
शायद हमारी तरह ही सताई हुई है रात।
Fir Aaj Aansuon Mein Nahayi Huyi Hai Raat,
Shayad Humari Tarah Hi Sataayi Huyi Hai Raat.
तेरी मुस्कराहट तेरे कहकहे किसी और के थे,
जो तेरी आँखों से था टपका वो मैं था।
Teri Muskurahat Tere Kah-Kahe Kisi Aur Ke The,
Jo Teri Aankho Se Tha Tapka, Wo Main Tha.
मेरी आँखों में आँसू नहीं कुछ नमी है,
वजह तू नहीं बस तेरी ये कमी है।
Meri Aabkhon Mein Aansoo Nahi Kuchh Nami Hai,
Wajah Tu Nahi Bas Teri Ye Kami Hai.
आ देख मेरी आँखों के ये भीगे हुए मौसम,
ये किसने कह दिया कि तुझे भूल गये हम।
Aa Dekh Meri Aankhon Ke Ye Bheege Huye Mausam,
Ye Kisne Keh Diya Ke Tujhe Bhool Gaye Hum.