Wo Aansoo Chhupa Rahe The
वो इस तरह मुस्कुरा रहे थे,
जैसे कोई गम छुपा रहे थे,
बारिश में भीग के आये थे मिलने,
शायद वो आँसू छुपा रहे थे।
Wo Iss Tarah Muskura Rahe The,
Jaise Koi Gham Chhupa Rahe The,
Barish Mein Bheeg Ke Aaye The Milne,
Shayad Wo Aansoo Chhupa Rahe The.
वो नदियाँ नहीं आँसू थे मेरे,
जिस पर वो कश्ती चलाते रहे,
मंजिल मिले उन्हें यह चाहत थी मेरी,
इसलिए हम आँसू बहाते रहे।
Wo Nadiyan Nahi Aansoo The Mere,
Jis Par Wo Kashti Chalaate Rahe,
Manzil Mile Unhein Ye Chahat Thi Meri,
Isliye Hum Aansoo Bahaate Rahe.